miT gae hum muddaa-e-ishq hasil ho gaya
miT ga.e ham mudda.ā-e-ishq hāsil ho gayā
ye fasāna apnī be-rabtī se kāmil ho gayā
un kā barbād-e-karam kahne ke qābil ho gayā
dil haqīqat meñ jahāñ TuuTā vahīñ dil ho gayā
nā-mukammal zindagī ke kuchh mukammal hādsāt
jab murattab ho ga.e afsāna-e-dil ho gayā
maiñ ne jo parda uThāyā tum ko dekhā sāmne
tum ne jis dil par nazar Daalī mirā dil ho gayā
bārhā dekhā hai dil ne o mire mahshar-ḳhirām
hashr uTThā aur tire qadmoñ meñ shāmil ho gayā
dil jahāñ uchhlā nazar aaya muhīt-e-do-jahāñ
arsa-e-kaunain jab simTā mirā dil ho gayā
jab nigāh-e-shauq uTThī husn ban kar rah ga.ī
jo qadam ham ne uThāyā naqsh-e-manzil ho gayā
jaan denā aa gayā un kī tamanna meñ jise
istilāh-e-ishq meñ jiine ke qābil ho gayā
be-ḳhabar rahnā hī achchhā is jahān-e-ġhair meñ
miT gayā jo vāqif-e-ādāb-e-mahfil ho gayā
yā kabhī manzil thī maqsūd-e-mazāq-e-justujū
yā mazāq-e-justujū maqsūd-e-manzil ho gayā
dekhnā 'bāsit' mire ḳhūn-e-tamannā kā faroġh
aur bhī rangīn kuchh dāmān-e-qātil ho gayā
miT gae hum muddaa-e-ishq hasil ho gaya
ye fasana apni be-rabti se kaamil ho gaya
un ka barbaad-e-karam kahne ke qabil ho gaya
dil haqiqat mein jahan TuTa wahin dil ho gaya
na-mukammal zindagi ke kuchh mukammal hadsat
jab murattab ho gae afsana-e-dil ho gaya
main ne jo parda uThaya tum ko dekha samne
tum ne jis dil par nazar Dali mera dil ho gaya
barha dekha hai dil ne o mere mahshar-KHiram
hashr uTTha aur tere qadmon mein shamil ho gaya
dil jahan uchhla nazar aaya muhit-e-do-jahan
arsa-e-kaunain jab simTa mera dil ho gaya
jab nigah-e-shauq uTThi husn ban kar rah gai
jo qadam hum ne uThaya naqsh-e-manzil ho gaya
jaan dena aa gaya un ki tamanna mein jise
istilah-e-ishq mein jine ke qabil ho gaya
be-KHabar rahna hi achchha is jahan-e-ghair mein
miT gaya jo waqif-e-adab-e-mahfil ho gaya
ya kabhi manzil thi maqsud-e-mazaq-e-justuju
ya mazaq-e-justuju maqsud-e-manzil ho gaya
dekhna 'basit' mere KHun-e-tamanna ka farogh
aur bhi rangin kuchh daman-e-qatil ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.