miT gaya hota magar zinda hun tadbir ke sath
miT gayā hotā magar zinda huuñ tadbīr ke saath
roz hotā hai tamāsha mirī taqdīr ke saath
kyā zarūrī hai ka.ī ḳhvāb sunahre dekhūñ
'umr kaT jaatī hai ik ḳhvāb kī tā'bīr ke saath
chand ġhazleñ mirī logoñ kī zabāñ par bhī thiiñ
vo mujhe kaise miTātā mirī tahrīr ke saath
vaqt insān ke hālāt badal detā hai
kab talak qaid rahegā koī zanjīr ke saath
chand lamhoñ ke liye roz maiñ jī letā huuñ
jiinā mushkil bhī nahīñ ‘izzat-o-tauqīr ke saath
kyoñ na ho aap kā charchā yahāñ mahfil mahfil
aap chhupte haiñ risāloñ meñ bhī tasvīr ke saath
kāmyābī tirī qismat meñ likhī hai 'sāhil'
do nishāne haiñ tire zehn meñ ik tiir ke saath
miT gaya hota magar zinda hun tadbir ke sath
roz hota hai tamasha meri taqdir ke sath
kya zaruri hai kai KHwab sunahre dekhun
'umr kaT jati hai ek KHwab ki ta'bir ke sath
chand ghazlen meri logon ki zaban par bhi thin
wo mujhe kaise miTata meri tahrir ke sath
waqt insan ke haalat badal deta hai
kab talak qaid rahega koi zanjir ke sath
chand lamhon ke liye roz main ji leta hun
jina mushkil bhi nahin ‘izzat-o-tauqir ke sath
kyon na ho aap ka charcha yahan mahfil mahfil
aap chhupte hain risalon mein bhi taswir ke sath
kaamyabi teri qismat mein likhi hai 'sahil'
do nishane hain tere zehn mein ek tir ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.