miT gaya sab jo likha tha muntashir auraq par
miT gaya sab jo likha tha muntashir auraq par
Dr. Habib ur Rehman
MORE BYDr. Habib ur Rehman
miT gayā sab jo likhā thā muntashir aurāq par
ḳhvāhisheñ hasrat banīñ to rakh diyā ik taaq par
sāmne aatā nahīñ hai kyoñ kabhī tū be-naqāb
zulm itnā to na kar is dīda-e-mushtāq par
bandagī karnī nahīñ thī ai bashar tujh ko agar
sabt kī thī mohr kyoñ phir bandhan-e-mīsāq par
jo hue ruḳhsat yahāñ se āsmāñ par saj ga.e
DhūñDhtā huuñ ik sitāra sarhad-e-āfāq par
kyoñ kahā ahl-e-ḳhirad ne dard kā darmāñ nahīñ
kab kiyā thā ham ne takiya zahr ke tiryāk par
sho’la-e-ulfat ko nazroñ kā tasādum chāhiye
aag ko jaise ragaḌnā sang kā chaqmāq par
miT gaya sab jo likha tha muntashir auraq par
KHwahishen hasrat banin to rakh diya ek taq par
samne aata nahin hai kyon kabhi tu be-naqab
zulm itna to na kar is dida-e-mushtaq par
bandagi karni nahin thi ai bashar tujh ko agar
sabt ki thi mohr kyon phir bandhan-e-misaq par
jo hue ruKHsat yahan se aasman par saj gae
DhunDhta hun ek sitara sarhad-e-afaq par
kyon kaha ahl-e-KHirad ne dard ka darman nahin
kab kiya tha hum ne takiya zahr ke tiryak par
sho’la-e-ulfat ko nazron ka tasadum chahiye
aag ko jaise ragaDna sang ka chaqmaq par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.