miTa kar phir banaya ja raha hai
miTā kar phir banāyā jā rahā hai
hameñ kuuza batāyā jā rahā hai
vahī kuchh to kareñge apne bachche
unheñ jo kuchh sikhāyā jā rahā hai
vahī paanī pe likhte jā rahe haiñ
hameñ jo kuchh paḌhāyā jā rahā hai
hathelī kī lakīreñ haiñ ki jin meñ
koī dariyā bahāyā jā rahā hai
hameñ Darnā nahīñ aatā hai 'jāzib'
hameñ phir bhī Darāyā jā rahā hai
miTa kar phir banaya ja raha hai
hamein kuza bataya ja raha hai
wahi kuchh to karenge apne bachche
unhen jo kuchh sikhaya ja raha hai
wahi pani pe likhte ja rahe hain
hamein jo kuchh paDhaya ja raha hai
hatheli ki lakiren hain ki jin mein
koi dariya bahaya ja raha hai
hamein Darna nahin aata hai 'jazib'
hamein phir bhi Daraya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.