miTa ke mujhko use ashk-bar hona tha
miTa ke mujhko use ashk-bar hona tha
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
miTā ke mujh ko use ashk-bār honā thā
ye sāneha bhī ajab mere yaar honā thā
vo haar kar bhī mire dil ko jiit letā magar
use to apnī anā kā shikār honā thā
ajab junūn thā tesha uThā liyā ham ne
ye kaam ishq meñ be-iḳhtiyār honā thā
nadī ne kī thī Dubone kī sāzisheñ kyā kyā
kabhī bhañvar to kabhī tez dhaar honā thā
tamām umr satāyā usī ne ham ko 'majīd'
jise hamāre liye ġham-gusār honā thā
miTa ke mujh ko use ashk-bar hona tha
ye saneha bhi ajab mere yar hona tha
wo haar kar bhi mere dil ko jit leta magar
use to apni ana ka shikar hona tha
ajab junun tha tesha uTha liya hum ne
ye kaam ishq mein be-iKHtiyar hona tha
nadi ne ki thi Dubone ki sazishen kya kya
kabhi bhanwar to kabhi tez dhaar hona tha
tamam umr sataya usi ne hum ko 'majid'
jise hamare liye gham-gusar hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.