miTa ke sare yaqin ke nishan rakh dega
miTā ke saare yaqīñ ke nishān rakh degā
badal ke vo yuuñ tumhārā jahān rakh degā
tum apnī baat nahīñ kah sakoge duniyā se
tumhāre muñh meñ vo apnī zabān rakh degā
vo noch legā tumhāre tamām bāl-o-par
uḌaan ke liye phir āsmān rakh degā
manār-o-gumbad-o-mehrāb toḌ degā vo
badal ke naqsha-e-hindostān rakh degā
guloñ ke husn ko rusvā karegā har-sū vo
milā ke ḳhaak meñ gulshan kī shaan rakh degā
sitamgaroñ ko navāzegā apnī rahmat se
phir un kā naam bhī vo mehrbān rakh degā
vo mere josh-e-safar par karegā shak 'merāj'
qadam-qadam pe mire imtihān rakh degā
miTa ke sare yaqin ke nishan rakh dega
badal ke wo yun tumhaara jahan rakh dega
tum apni baat nahin kah sakoge duniya se
tumhaare munh mein wo apni zaban rakh dega
wo noch lega tumhaare tamam baal-o-par
uDan ke liye phir aasman rakh dega
manar-o-gumbad-o-mehrab toD dega wo
badal ke naqsha-e-hindostan rakh dega
gulon ke husn ko ruswa karega har-su wo
mila ke KHak mein gulshan ki shan rakh dega
sitamgaron ko nawazega apni rahmat se
phir un ka nam bhi wo mehrban rakh dega
wo mere josh-e-safar par karega shak 'meraj'
qadam-qadam pe mere imtihan rakh dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.