miTane ahl-e-haq ko jhuT ke lashkar nikal aae
miTāne ahl-e-haq ko jhuuT ke lashkar nikal aa.e
ujāloñ ke muqābil raat ke manzar nikal aa.e
hamāre hukmrāñ ko kis ghaḌī insāf kī sūjhī
ki dariyā jab kināre toḌ kar bāhar nikal aa.e
numū kī rut tumhāre shahr meñ sab ke liye kab thī
havā ne chhū liyā jis ko usī ke par nikal aa.e
yahī Dar saf.ha-e-āḳhir pe calendar ke likkhā hai
december sā kahīñ koī na phir manzar nikal aa.e
maiñ ḳhud ko dostoñ ke darmiyāñ mahsūs kartā thā
magar jab shab huī chāroñ taraf ḳhanjar nikal aa.e
lahū bo kar hameñ ummīd thī phūloñ ke khilne kī
magar miTTī se phūloñ kī jagah patthar nikal aa.e
masīhā jin ko samjhā thā mirī sāda-mizājī ne
unhīñ kī āstīñ se dekhiye ḳhanjar nikal aa.e
miTane ahl-e-haq ko jhuT ke lashkar nikal aae
ujalon ke muqabil raat ke manzar nikal aae
hamare hukmran ko kis ghaDi insaf ki sujhi
ki dariya jab kinare toD kar bahar nikal aae
numu ki rut tumhaare shahr mein sab ke liye kab thi
hawa ne chhu liya jis ko usi ke par nikal aae
yahi Dar safha-e-aKHir pe calendar ke likkha hai
december sa kahin koi na phir manzar nikal aae
main KHud ko doston ke darmiyan mahsus karta tha
magar jab shab hui chaaron taraf KHanjar nikal aae
lahu bo kar hamein ummid thi phulon ke khilne ki
magar miTTi se phulon ki jagah patthar nikal aae
masiha jin ko samjha tha meri sada-mizaji ne
unhin ki aastin se dekhiye KHanjar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.