miTe hain jaise hum ek shaKHs ki KHushi ke liye
miTe hain jaise hum ek shaKHs ki KHushi ke liye
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
miTe haiñ jaise ham ik shaḳhs kī ḳhushī ke liye
miTā na hogā koī is tarah kisī ke liye
kabhī kisī ke bharose pe jang mat karnā
koī kisī se ulajhtā nahīñ kisī ke liye
vo faiz uThātā rahā merī sāda-lauhī kā
fareb khātā rahā maiñ ḳhud-āgahī ke liye
guloñ kā khil ke bikharnā to amr-e-lāzim hai
duā.eñ maañg diloñ kī shaguftagī ke liye
ye aur baat patañgoñ ko ḳhaak honā paḌā
charāġh ham ne jalā.e the raushnī ke liye
phir us ke baad tumhārā surāġh kho baiThā
Thahar gayā thā maiñ raste meñ do ghaḌī ke liye
ulajh ga.e haiñ ḳhud apne hī mas.aloñ meñ 'shakīl'
chune ga.e the ham auroñ kī rahbarī ke liye
miTe hain jaise hum ek shaKHs ki KHushi ke liye
miTa na hoga koi is tarah kisi ke liye
kabhi kisi ke bharose pe jang mat karna
koi kisi se ulajhta nahin kisi ke liye
wo faiz uThata raha meri sada-lauhi ka
fareb khata raha main KHud-agahi ke liye
gulon ka khil ke bikharna to amr-e-lazim hai
duaen mang dilon ki shaguftagi ke liye
ye aur baat patangon ko KHak hona paDa
charagh hum ne jalae the raushni ke liye
phir us ke baad tumhaara suragh kho baiTha
Thahar gaya tha main raste mein do ghaDi ke liye
ulajh gae hain KHud apne hi masalon mein 'shakil'
chune gae the hum auron ki rahbari ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.