miTenge mere dil se ranj-o-gham aahista-ahista
miTenge mere dil se ranj-o-gham aahista-ahista
Vijendra Singh Parwaz
MORE BYVijendra Singh Parwaz
miTeñge mere dil se ranj-o-ġham āhista-āhista
qarār aa.egā tujh ko chashm-e-nam āhista-āhista
yaqīnan ek din manzil unhīñ ke paañv chūmegī
baḌhā.e jā rahe haiñ jo qadam āhista-āhista
hamāre haal pe ik din karam kī bārisheñ hoñgī
fanā ho jā.egī rasm-e-sitam āhista-āhista
abhī to rafta-rafta ye zabāñ-bandī tak aa.e haiñ
phir is ke baa'd chhīneñge qalam āhista-āhista
hamārī shā.erī 'parvāz' aisā silsila Thahrī
kiyā jis meñ ḳhayāloñ ko raqam āhista-āhista
miTenge mere dil se ranj-o-gham aahista-ahista
qarar aaega tujh ko chashm-e-nam aahista-ahista
yaqinan ek din manzil unhin ke panw chumegi
baDhae ja rahe hain jo qadam aahista-ahista
hamare haal pe ek din karam ki barishen hongi
fana ho jaegi rasm-e-sitam aahista-ahista
abhi to rafta-rafta ye zaban-bandi tak aae hain
phir is ke ba'd chhinenge qalam aahista-ahista
hamari shaeri 'parwaz' aisa silsila Thahri
kiya jis mein KHayalon ko raqam aahista-ahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.