miTne ka junun luTne ka arman nazar aaya
miTne kā junūñ luTne kā armāñ nazar aayā
aap aa.e to kuchh jiine kā sāmāñ nazar aayā
sochā thā mire haath meñ dāman hai tumhārā
dekhā to ḳhud apnā hī garebāñ nazar aayā
dekhā jo kabhī ġhaur se us jān-e-vafā ko
ma.asūm nigāhoñ meñ bhī tūfāñ nazar aayā
is daur meñ jiine kā kiyā jab bhī irāda
us vaqt mujhe marnā hī āsāñ nazar aayā
is vaqt ki jab bhuuk se marne lagī duniyā
hindū nazar aayā na musalmāñ nazar aayā
miTne ka junun luTne ka arman nazar aaya
aap aae to kuchh jine ka saman nazar aaya
socha tha mere hath mein daman hai tumhaara
dekha to KHud apna hi gareban nazar aaya
dekha jo kabhi ghaur se us jaan-e-wafa ko
masum nigahon mein bhi tufan nazar aaya
is daur mein jine ka kiya jab bhi irada
us waqt mujhe marna hi aasan nazar aaya
is waqt ki jab bhuk se marne lagi duniya
hindu nazar aaya na musalman nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.