miTTi hun bhigne de mere kuza-gar abhi
miTTī huuñ bhīgne de mire kūza-gar abhī
masrūf gardishoñ meñ hai dast-e-hunar abhī
ḳhud baḌh ke qatl-gāh meñ qātil ke sāmne
maqtūl ho gayā hai bahut bā-asar abhī
chehroñ bharī kitāb meñ miltī nahīñ hai ab
dekhī thī terī shakl kisī saf.ha par abhī
chamke the lafz terī samā.at kī dhuup meñ
husn-e-ḳhayāl thā ki havā mo'atabar abhī
dil ābloñ kā rakhne ko shāyad utar paḌe
abr-e-ravāñ hai dasht meñ mahv-e-safar abhī
ham haiñ charāg-e-āḳhir-e-shab to malāl kyā
bujh bhī ga.e havā se to hogī sahar abhī
miTTi hun bhigne de mere kuza-gar abhi
masruf gardishon mein hai dast-e-hunar abhi
KHud baDh ke qatl-gah mein qatil ke samne
maqtul ho gaya hai bahut ba-asar abhi
chehron bhari kitab mein milti nahin hai ab
dekhi thi teri shakl kisi safha par abhi
chamke the lafz teri samaat ki dhup mein
husn-e-KHayal tha ki hawa mo'atabar abhi
dil aablon ka rakhne ko shayad utar paDe
abr-e-rawan hai dasht mein mahw-e-safar abhi
hum hain charag-e-aKHir-e-shab to malal kya
bujh bhi gae hawa se to hogi sahar abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.