miTTi ka chand gard ke haale mein aa gaya
miTTī kā chāñd gard ke haale meñ aa gayā
muḳhtār-e-kul thā jabr ke taale meñ aa gayā
bas us ke chashm-o-lab kā ahāta na ho sakā
vaise badan kā zikr maqāle meñ aa gayā
mujh se nigāheñ pher liiñ mere hī chāñd ne
achchhā huā ki ab maiñ ujāle meñ aa gayā
ik la.al-e-lab kā lams bikharne kī der thī
nashsha simaT ke aañkh ke pyāle meñ aa gayā
pahle to merā naam bhī lagtā thā us ko zahr
phir merā zikr us ke havāle meñ aa gayā
miTTi ka chand gard ke haale mein aa gaya
muKHtar-e-kul tha jabr ke tale mein aa gaya
bas us ke chashm-o-lab ka ahata na ho saka
waise badan ka zikr maqale mein aa gaya
mujh se nigahen pher lin mere hi chand ne
achchha hua ki ab main ujale mein aa gaya
ek lal-e-lab ka lams bikharne ki der thi
nashsha simaT ke aankh ke pyale mein aa gaya
pahle to mera nam bhi lagta tha us ko zahr
phir mera zikr us ke hawale mein aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.