miTTi ke alawa hain kahan humse kahin aur
miTTī ke alāva haiñ kahāñ ham se kahīñ aur
aflāk-nashīñ aur haiñ ham ḳhāk-nashīñ aur
ye kis kī sarā.e hai shab-o-roz jahāñ se
ik jaa.e musāfir to ik aa jaa.e makīñ aur
tujh husn-e-mukammal meñ qayāmat kī kashish hai
yūsuf to hazāroñ haiñ magar tujh sā nahīñ aur
maiñ jaan kī baazī bhī lagā duuñ ai zamāne
gar DhūñD ke lā de to mohammad sā amiiñ aur
'rājas' kī tabī.at pe ajab terā asar hai
rahtā huuñ kahīñ aur maiñ hotā huuñ kahīñ aur
miTTi ke alawa hain kahan hum se kahin aur
aflak-nashin aur hain hum KHak-nashin aur
ye kis ki sarae hai shab-o-roz jahan se
ek jae musafir to ek aa jae makin aur
tujh husn-e-mukammal mein qayamat ki kashish hai
yusuf to hazaron hain magar tujh sa nahin aur
main jaan ki bazi bhi laga dun ai zamane
gar DhunD ke la de to mohammad sa amin aur
'rajas' ki tabiat pe ajab tera asar hai
rahta hun kahin aur main hota hun kahin aur
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 263)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.