miTTi se jo juDe the wo jazbaat le liye
miTTī se jo juḌe the vo jazbāt le liye
hijrat ne khet aur mire bāġhāt le liye
paḌh kar darūd ghar se safar ko maiñ chal paḌā
nām-e-nabī ne raah ke ḳhadshāt le liye
maiñ ik hunar ke shahr kā farzand-e-ḳhās thā
ġhurbat ne mere saare kamālāt le liye
sharm-o-hayā gharoñ se miTāne ke saath saath
T v ne masjidoñ ke bhī auqāt le liye
daulat kī maiñ havas meñ havā par savār thā
shohrat ne mere arz-o-samāvāt le liye
qaumoñ ko bā-shu.ūr banāne ke saath hī
ta.alīm ne qadīm rusūmāt le liye
phir dostoñ kī saf meñ koī zalzala na ho
ġhībat-kadoñ ne mere bayānāt le liye
'dīdār' chaar misroñ pe thā iktifā mirā
ġhazloñ ke shauq ne mire qat'āt le liye
miTTi se jo juDe the wo jazbaat le liye
hijrat ne khet aur mere baghat le liye
paDh kar darud ghar se safar ko main chal paDa
nam-e-nabi ne rah ke KHadshat le liye
main ek hunar ke shahr ka farzand-e-KHas tha
ghurbat ne mere sare kamalat le liye
sharm-o-haya gharon se miTane ke sath sath
T w ne masjidon ke bhi auqat le liye
daulat ki main hawas mein hawa par sawar tha
shohrat ne mere arz-o-samawat le liye
qaumon ko ba-shuur banane ke sath hi
talim ne qadim rusumat le liye
phir doston ki saf mein koi zalzala na ho
ghibat-kadon ne mere bayanat le liye
'didar' chaar misron pe tha iktifa mera
ghazlon ke shauq ne mere qat'at le liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.