miTTi se mashwara na kar pani ka bhi kaha na man
miTTī se mashvara na kar paanī kā bhī kahā na maan
ai ātish-e-darūñ mirī pābandī-e-havā na maan
har ik luġhat se māvarā maiñ huuñ 'ajab muhāvara
merī zabāñ meñ paḌh mujhe duniyā kā tarjuma na maan
zinda samā'atoñ kā sog sunte kahāñ haiñ ab ye log
tū bhī sadā.eñ detā rah mujh ko bhī be-sadā na maan
yā to vo aab ho bahut yā phir sarāb ho bahut
miTTī ho jis ke jism meñ us ko mirā ḳhudā na maan
TuuTe haiñ mujh pe qahr bhī maiñ ne piyā hai zahr bhī
merī zabān-e-talḳh kā itnā bhī ab burā na maan
bas ek diid bhar kā hai phir to ye vaqfa-e-hayāt
un ke qarīb jā magar āñkhoñ kī iltijā na maan
miTTi se mashwara na kar pani ka bhi kaha na man
ai aatish-e-darun meri pabandi-e-hawa na man
har ek lughat se mawara main hun 'ajab muhawara
meri zaban mein paDh mujhe duniya ka tarjuma na man
zinda sama'aton ka sog sunte kahan hain ab ye log
tu bhi sadaen deta rah mujh ko bhi be-sada na man
ya to wo aab ho bahut ya phir sarab ho bahut
miTTi ho jis ke jism mein us ko mera KHuda na man
TuTe hain mujh pe qahr bhi main ne piya hai zahr bhi
meri zaban-e-talKH ka itna bhi ab bura na man
bas ek did bhar ka hai phir to ye waqfa-e-hayat
un ke qarib ja magar aankhon ki iltija na man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.