miyan do chaar din ki ye hamari zindagani hai
miyan do chaar din ki ye hamari zindagani hai
Abdullah Minhaj Khan
MORE BYAbdullah Minhaj Khan
miyāñ do chaar din kī ye hamārī zindagānī hai
yahāñ zinda rahegā kaun sab ko maut aanī hai
nahīñ hai pyaar ke laa.iq koī bhī is zamāne meñ
maiñ ḳhud se pyaar kartā huuñ mirī bhī ik kahānī hai
añdherī qabr meñ ban jā.egī vo nuur kī qindīl
hamāre dil ke andar jo kitāb-e-āsmānī hai
safar meñ haiñ sab ik muddat se manzil tak nahīñ pahuñche
yahī sachchā.ī hai is kī ye duniyā ānī-jānī hai
jo us ne jaate jaate dī thī ham ko ek din 'minhāj'
hamāre paas ab bhī vo mohabbat kī nishānī hai
miyan do chaar din ki ye hamari zindagani hai
yahan zinda rahega kaun sab ko maut aani hai
nahin hai pyar ke laiq koi bhi is zamane mein
main KHud se pyar karta hun meri bhi ek kahani hai
andheri qabr mein ban jaegi wo nur ki qindil
hamare dil ke andar jo kitab-e-asmani hai
safar mein hain sab ek muddat se manzil tak nahin pahunche
yahi sachchai hai is ki ye duniya aani-jaani hai
jo us ne jate jate di thi hum ko ek din 'minhaj'
hamare pas ab bhi wo mohabbat ki nishani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.