Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miyan itna bhi miTha bolna achchha nahin hota

Rituraj Kumar

miyan itna bhi miTha bolna achchha nahin hota

Rituraj Kumar

MORE BYRituraj Kumar

    miyāñ itnā bhī mīThā bolnā achchhā nahīñ hotā

    bure logoñ ko achchhā bolnā achchhā nahīñ hotā

    purānā mashvara hai yaar hākim ko ye samjhāo

    zarūrat se ziyāda bolnā achchhā nahīñ hotā

    mohabbat meñ nigāhoñ se chalo kuchh guftugū kar leñ

    zabāñ se hamesha bolnā achchhā nahīñ hotā

    mujhe Dar hai hukūmat ek din ye bhī na kah Daale

    banāo ḳhud ko gūñgā bolnā achchhā nahīñ hotā

    hamārā naam bhī lenā jab us ka naam lenā to

    binā mohan ke rādhā bolnā achchhā nahīñ hotā

    bharosa ho bhale kitnā magar hai to bharosa

    kisī se raaz dil ka bolnā achchhā nahīñ hotā

    bharo hunkār hai himmat to aakar sāmne mere

    ki yuuñ pīchhe se dhāvā bolnā achchhā nahīñ hotā

    chamak us par bhale kitnī bhī aa jaa.e magar pyāre

    kisī pītal ko sonā bolnā achchhā nahīñ hotā

    miyan itna bhi miTha bolna achchha nahin hota

    bure logon ko achchha bolna achchha nahin hota

    purana mashwara hai yar hakim ko ye samjhao

    zarurat se ziyaada bolna achchha nahin hota

    mohabbat mein nigahon se chalo kuchh guftugu kar len

    zaban se hi hamesha bolna achchha nahin hota

    mujhe Dar hai hukumat ek din ye bhi na kah Dale

    banao KHud ko gunga bolna achchha nahin hota

    hamara nam bhi lena jab us ka nam lena to

    bina mohan ke radha bolna achchha nahin hota

    bharosa ho bhale kitna magar hai to bharosa hi

    kisi se raaz dil ka bolna achchha nahin hota

    bharo hunkar hai himmat to aakar samne mere

    ki yun pichhe se dhawa bolna achchha nahin hota

    chamak us par bhale kitni bhi aa jae magar pyare

    kisi pital ko sona bolna achchha nahin hota

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now