miyan wo din gae ab ye himaqat kaun karta hai
miyāñ vo din ga.e ab ye himāqat kaun kartā hai
vo kyā kahte haiñ us ko haañ mohabbat kaun kartā hai
ḳhudā se chāhte haiñ sab sila apnī saḳhāvat kā
kisī majbūr par yuuñ hī 'ināyat kaun kartā hai
kabhī sochā hai kaise ḳhairiyat se ghar pahuñchte ho
ye sab kis kī du'ā.eñ haiñ hifāzat kaun kartā hai
koī ġham se pareshāñ hai koī jannat kā tālib hai
ġharaz sajde karātī hai 'ibādat kaun kartā hai
gunāhoñ ke liye insān zimma-dār hai be-shak
magar phir bhī baġhair us kī ijāzat kaun kartā hai
miyan wo din gae ab ye himaqat kaun karta hai
wo kya kahte hain us ko han mohabbat kaun karta hai
KHuda se chahte hain sab sila apni saKHawat ka
kisi majbur par yun hi 'inayat kaun karta hai
kabhi socha hai kaise KHairiyat se ghar pahunchte ho
ye sab kis ki du'aen hain hifazat kaun karta hai
koi gham se pareshan hai koi jannat ka talib hai
gharaz sajde karaati hai 'ibaadat kaun karta hai
gunahon ke liye insan zimma-dar hai be-shak
magar phir bhi baghair us ki ijazat kaun karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.