mizaj ab tak nahin badla hamara
mizāj ab tak nahīñ badlā hamārā
vahī ham haiñ vahī rutba hamārā
kal us kī book meñ love letter milā hai
hamīñ par jā rahā laḌkā hamārā
bahut majbūr ho kar kah rahe haiñ
mohabbat chhoḌ de pīchhā hamārā
koī diqqat nahīñ hai hādsoñ se
magar rokeñ nahīñ rasta hamārā
ḳhud apne aap ko kaise harā.eñ
hamīñ se chal rahā jhagḌā hamārā
mizaj ab tak nahin badla hamara
wahi hum hain wahi rutba hamara
kal us ki book mein lowe letter mila hai
hamin par ja raha laDka hamara
bahut majbur ho kar kah rahe hain
mohabbat chhoD de pichha hamara
koi diqqat nahin hai hadson se
magar roken nahin rasta hamara
KHud apne aap ko kaise haraen
hamin se chal raha jhagDa hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.