mizaj apne kahan aaj hain Thikane par
mizāj apne kahāñ aaj haiñ Thikāne par
huzūr aa.e haiñ mere ġharīb-ḳhāne par
pighal rahī hai musalsal jo barf āñkhoñ se
ajiib dhuup hai palkoñ ke shāmiyāne par
na jaane aa ga.e kyuuñ us kī aañkh meñ aañsū
jo hañs rahā thā mire dard ke fasāne par
zarā sī samt badal lī jo apnī marzī se
to naav aa ga.ī tūfān ke nishāne par
ḳhudā bachā ke rakhe 'mīnā' us ghaḌī se hameñ
ki baat Thahre kabhī us ke āzmāne par
mizaj apne kahan aaj hain Thikane par
huzur aae hain mere gharib-KHane par
pighal rahi hai musalsal jo barf aankhon se
ajib dhup hai palkon ke shamiyane par
na jaane aa gae kyun us ki aankh mein aansu
jo hans raha tha mere dard ke fasane par
zara si samt badal li jo apni marzi se
to naw aa gai tufan ke nishane par
KHuda bacha ke rakhe 'mina' us ghaDi se hamein
ki baat Thahre kabhi us ke aazmane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.