mizaj dard ka KHugar isi liye to hai
mizāj dard kā ḳhūgar isī liye to hai
ġham-e-firāq muqaddar isī liye to hai
tujhe ḳhabar thī mirā dil hai ā.īna jaisā
ye guftugū tirī patthar isī liye to hai
panāh le na sakā jo ḳhudā ke ghar meñ kabhī
zamāne bhar meñ vo be-ghar isī liye to hai
tumheñ to dost banāne kā shauq thā hī bahut
tumhārī piiTh meñ ḳhanjar isī liye to hai
tumhārī yaad ke bādal baras rahe haiñ yahāñ
ye āñsuoñ kā samundar isī liye to hai
tumhārī nasl kī hālat bigaḌne vaalī hai
tumhāre haath meñ sāġhar isī liye to hai
unheñ batāo buzurgoñ kā hai karam us par
'hilāl' achchhā suḳhanvar isī liye to hai
mizaj dard ka KHugar isi liye to hai
gham-e-firaq muqaddar isi liye to hai
tujhe KHabar thi mera dil hai aaina jaisa
ye guftugu teri patthar isi liye to hai
panah le na saka jo KHuda ke ghar mein kabhi
zamane bhar mein wo be-ghar isi liye to hai
tumhein to dost banane ka shauq tha hi bahut
tumhaari piTh mein KHanjar isi liye to hai
tumhaari yaad ke baadal baras rahe hain yahan
ye aansuon ka samundar isi liye to hai
tumhaari nasl ki haalat bigaDne wali hai
tumhaare hath mein saghar isi liye to hai
unhen batao buzurgon ka hai karam us par
'hilal' achchha suKHanwar isi liye to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.