mizaj-e-husn mein kuchh barhami malum hoti hai
mizāj-e-husn meñ kuchh barhamī ma.alūm hotī hai
hijāb-e-nūr meñ bijlī chhupī ma.alūm hotī hai
yaqīnan phir koī taaza qayāmat aane vaalī hai
mire dard-e-mohabbat meñ kamī ma.alūm hotī hai
ġham-o-andoh-o-hasrat yās-o-hirmāñ dard-o-betābi
taḌap jaatā huuñ jab in meñ kamī ma.alūm hotī hai
tirī rahmat pe mujh ko naaz hai aur naaz bhī kaisā
gunāhoñ meñ bhī ik taqdīs sī ma.alūm hotī hai
guloñ kā rang phīkā hai fazā.eñ bhī haiñ afsurda
gulistāñ meñ kisī shai kī kamī ma.alūm hotī hai
kabhī tum ne mujhe dekhā thā apnī garm nazroñ se
abhī tak aag sī dil meñ lagī ma.alūm hotī hai
mizaj-e-husn mein kuchh barhami malum hoti hai
hijab-e-nur mein bijli chhupi malum hoti hai
yaqinan phir koi taza qayamat aane wali hai
mere dard-e-mohabbat mein kami malum hoti hai
gham-o-andoh-o-hasrat yas-o-hirman dard-o-betabi
taDap jata hun jab in mein kami malum hoti hai
teri rahmat pe mujh ko naz hai aur naz bhi kaisa
gunahon mein bhi ek taqdis si malum hoti hai
gulon ka rang phika hai fazaen bhi hain afsurda
gulistan mein kisi shai ki kami malum hoti hai
kabhi tum ne mujhe dekha tha apni garm nazron se
abhi tak aag si dil mein lagi malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.