mizaj-e-ishq ko jis ne qalandarana kiya
mizāj-e-ishq ko jis ne qalandarāna kiyā
kalām jis se kiyā us ne ārifāna kiyā
sitam kī dhuup ne ye kār-e-mo.ajizāna kiyā
hamārī raah meñ shafqat kā shāmiyāna kiyā
vo jis ne dil pe mire vār-e-qātilāna kiyā
usī ko maiñ ne kabhī jaan se judā na kiyā
vo ik daraḳht jahāñ saañp kā baserā hai
kisī parinde ne kab us pe āshiyāna kiyā
savāl pūchhne vaalo suno batā.ūñ maiñ
charāġh-e-dil se munavvar ġharīb-ḳhāna kiyā
isī zamīn se nisbat thī ham parindoñ ko
isī zamīn kī miTTī ko āb-o-dāna kiyā
hamāre ḳhuun kī fitrat meñ hai vafādārī
so ham ne jis se kiyā pyaar muḳhlisāna kiyā
azīz-tar jise rakkhā sañbhāl kar dil meñ
sulūk us ne bahut ham se bāġhiyāna kiyā
ḳhushī ke saath nikaltā hai ghar se kaun 'ash.har'
zarūratoñ ne safar par hameñ ravāna kiyā
mizaj-e-ishq ko jis ne qalandarana kiya
kalam jis se kiya us ne aarifana kiya
sitam ki dhup ne ye kar-e-moajizana kiya
hamari rah mein shafqat ka shamiyana kiya
wo jis ne dil pe mere war-e-qatilana kiya
usi ko main ne kabhi jaan se juda na kiya
wo ek daraKHt jahan sanp ka basera hai
kisi parinde ne kab us pe aashiyana kiya
sawal puchhne walo suno bataun main
charagh-e-dil se munawwar gharib-KHana kiya
isi zamin se nisbat thi hum parindon ko
isi zamin ki miTTi ko aab-o-dana kiya
hamare KHun ki fitrat mein hai wafadari
so hum ne jis se kiya pyar muKHlisana kiya
aziz-tar jise rakkha sanbhaal kar dil mein
suluk us ne bahut hum se baghiyana kiya
KHushi ke sath nikalta hai ghar se kaun 'ashhar'
zaruraton ne safar par hamein rawana kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.