mizaj-e-shahr jo tahrir karne nikle hain
mizāj-e-shahr jo tahrīr karne nikle haiñ
ham apne aap ko dil-gīr karne nikle haiñ
nikal ke ḳhvāb-sarā se bujhā ke chashm-e-gumāñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko ta.abīr karne nikle haiñ
sajā ke aañkh meñ vahshat badan pe vīrānī
tire jamāl kī tash.hīr karne nikle haiñ
jo din kī bhiiḌ meñ ham se bichhaḌ ga.ī thī kahīñ
us ek shaam ko tasvīr karne nikle haiñ
bahut hī saada haiñ ham bhī uThā ke yaad koī
ga.e dinoñ ko jo zanjīr karne nikle haiñ
libās-e-ishq sajā kar badan pe ham 'ḳhāvar'
tilism-e-husn ko tasḳhīr karne nikle haiñ
mizaj-e-shahr jo tahrir karne nikle hain
hum apne aap ko dil-gir karne nikle hain
nikal ke KHwab-sara se bujha ke chashm-e-guman
KHayal-o-KHwab ko tabir karne nikle hain
saja ke aankh mein wahshat badan pe virani
tere jamal ki tashhir karne nikle hain
jo din ki bhiD mein hum se bichhaD gai thi kahin
us ek sham ko taswir karne nikle hain
bahut hi sada hain hum bhi uTha ke yaad koi
gae dinon ko jo zanjir karne nikle hain
libas-e-ishq saja kar badan pe hum 'KHawar'
tilism-e-husn ko tasKHir karne nikle hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.