mizaj-e-yar se dil aashna hai
mizāj-e-yār se dil āshnā hai
ki ik bedād-gar par aa gayā hai
kahāñ hai dil hamārā jānte haiñ
kahāñ par zid kiye baiThā huā hai
pata kyā ‘āqilān-e-shahr dete
ye dil-āvāra un ko jāntā hai
vo jin ko ham ne dekhā thā kahīñ par
vahī ik shaḳhs dil kā mudda'ā hai
kahāñ badlegā mausam kaun jaane
tabī'at tak havā kī nāravā hai
ise ab 'aql vaale kyā kaheñge
mirā ye dil ki shab bhar jāgtā hai
sunā thā bhuul jā.eñge use ham
suno ab tak yahī ik aasrā hai
kahāñ dafnā sake haiñ log mil kar
zabāñ par zikr ab to barmalā hai
huī hai gum vafā kī raah 'jogī'
yahī ik sāniha ab jā-ba-jā hai
mizaj-e-yar se dil aashna hai
ki ek bedad-gar par aa gaya hai
kahan hai dil hamara jaante hain
kahan par zid kiye baiTha hua hai
pata kya ‘aqilan-e-shahr dete
ye dil-awara un ko jaanta hai
wo jin ko hum ne dekha tha kahin par
wahi ek shaKHs dil ka mudda'a hai
kahan badlega mausam kaun jaane
tabi'at tak hawa ki narawa hai
ise ab 'aql wale kya kahenge
mera ye dil ki shab bhar jagta hai
suna tha bhul jaenge use hum
suno ab tak yahi ek aasra hai
kahan dafna sake hain log mil kar
zaban par zikr ab to barmala hai
hui hai gum wafa ki rah 'jogi'
yahi ek saniha ab ja-ba-ja hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.