mizaj rakhte ho shairana to pas aana
mizāj rakhte ho shā'irāna to paas aanā
suḳhan-sarā.ī ho mo’jizāna to paas aanā
tavīl qurbat meñ 'aib-jūī ke mas.ale haiñ
so duur rah kar ho paas aanā to paas aanā
farār hone ko merī yādoñ kī dastaras se
na DhūñD paao koī bahāna to paas aanā
bharam hai tum ko tumhāre dar par khaḌe mileñge
jo merī rāhoñ pe chal ke aanā to paas aanā
ki jhuuT makr-o-fareb se hai gurez mujh ko
jo baat karte ho munsifāna to paas aanā
ḳhamosh dariyā ke pāniyoñ meñ bhañvar haiñ kitne
agar ye chāho tum āzmānā to paas aanā
masarratoñ ne kahā thā hañs kar 'ayāz' ik din
udāsiyoñ se jab uub jaanā to paas aanā
mizaj rakhte ho sha'irana to pas aana
suKHan-sarai ho mo’jizana to pas aana
tawil qurbat mein 'aib-jui ke masale hain
so dur rah kar ho pas aana to pas aana
farar hone ko meri yaadon ki dastaras se
na DhunD pao koi bahana to pas aana
bharam hai tum ko tumhaare dar par khaDe milenge
jo meri rahon pe chal ke aana to pas aana
ki jhuT makr-o-fareb se hai gurez mujh ko
jo baat karte ho munsifana to pas aana
KHamosh dariya ke paniyon mein bhanwar hain kitne
agar ye chaho tum aazmana to pas aana
masarraton ne kaha tha hans kar 'ayaz' ek din
udasiyon se jab ub jaana to pas aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.