moatabar hote hue jaan-soz afsane na the
mo'atabar hote hue jāñ-soz afsāne na the
log dīvāne the lekin itne dīvāne na the
un ke ruḳh se jab naqāb uTThī to ḳhāmoshī rahī
sham' jab raushan huī mahfil meñ parvāne na the
ashk the har chand lekin zabt par qaabū bhī thā
is tarah chhalke hue āñkhoñ ke paimāne na the
jis taraf nazreñ uThātā huuñ udhar vīrāniyāñ
shahr se bāhar to shāyad itne vīrāne na the
un kī mahfil meñ chale jaate magar mushkil ye thī
rāhdārī ke hamāre paas parvāne na the
ham muḳhātib kis se hote kaun thā apnā rafīq
log the mahfil meñ lekin jaane pahchāne na the
apnī barbādī kā zimma-dār Thahrā.ūñ kise
chaar jānib apne hī apne the begāne na the
dāstān-e-ġham ko sun kar yuuñ hue vo shādmāñ
āñsuoñ meñ jaise pinhāñ ġham ke afsāne na the
anjuman meñ un kī ham jaane ko jaate ai 'sirāj'
un ke qābil jab hamāre paas nazrāne na the
mo'atabar hote hue jaan-soz afsane na the
log diwane the lekin itne diwane na the
un ke ruKH se jab naqab uTThi to KHamoshi rahi
sham' jab raushan hui mahfil mein parwane na the
ashk the har chand lekin zabt par qabu bhi tha
is tarah chhalke hue aankhon ke paimane na the
jis taraf nazren uThata hun udhar viraniyan
shahr se bahar to shayad itne virane na the
un ki mahfil mein chale jate magar mushkil ye thi
rahdari ke hamare pas parwane na the
hum muKHatib kis se hote kaun tha apna rafiq
log the mahfil mein lekin jaane pahchane na the
apni barbaadi ka zimma-dar Thahraun kise
chaar jaanib apne hi apne the begane na the
dastan-e-gham ko sun kar yun hue wo shadman
aansuon mein jaise pinhan gham ke afsane na the
anjuman mein un ki hum jaane ko jate ai 'siraj'
un ke qabil jab hamare pas nazrane na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.