mojize se husn ke ye zindagi raushan hui
mo'jize se husn ke ye zindagī raushan huī
faiz sūraj kā milā to raushnī raushan huī
aaj guzre pal na jaane yaad kyoñ aane lage
kal kī ik nāz-e-girāñ tābindagī raushan huī
sau sarāboñ ke simaTte fāsloñ ke darmiyān
ik samundar kī sisaktī tishnagī raushan huī
kyā pata apnā muqaddar hī thā us kā muntazir
paañv us ke kyā paḌe ye zindagī raushan huī
mustaqil be-ai’tamādi intizār ik 'umr kā
ek sūrat dil meñ thī gahre basī raushan huī
ban ke bigḌe sau jazīre āsmāñ par hirs ke
us kī aamad se machaltī mauj bhī raushan huī
āgahī thī fikr thī harf-o-suḳhan ke fan bhī the
ḳhud-numā.ī se haTe to shā'irī raushan huī
mo'jize se husn ke ye zindagi raushan hui
faiz suraj ka mila to raushni raushan hui
aaj guzre pal na jaane yaad kyon aane lage
kal ki ek naz-e-giran tabindagi raushan hui
sau sarabon ke simaTte faslon ke darmiyan
ek samundar ki sisakti tishnagi raushan hui
kya pata apna muqaddar hi tha us ka muntazir
panw us ke kya paDe ye zindagi raushan hui
mustaqil be-ai’tamadi intizar ek 'umr ka
ek surat dil mein thi gahre basi raushan hui
ban ke bigDe sau jazire aasman par hirs ke
us ki aamad se machalti mauj bhi raushan hui
aagahi thi fikr thi harf-o-suKHan ke fan bhi the
KHud-numai se haTe to sha'iri raushan hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.