mojiza koi dikhaun bhi to kya
mo'jiza koī dikhā.ūñ bhī to kyā
chāñd meñ shahr basā.ūñ bhī to kyā
yaad aatā hai barābar koī
maiñ use yaad na aa.uuñ bhī to kyā
rabt pahle hī nahīñ kam us se
rābta aur baḌhā.ūñ bhī to kyā
vo na badlegā ravayya apnā
maiñ agar baat nibhā.ūñ bhī to kyā
jaane majbūr hai kitnā vo bhī
kuchh use yaad dilā.ūñ bhī to kyā
mere āñgan meñ na utregā vo chāñd
lau sitāroñ se lagā.ūñ bhī to kyā
log vīrānoñ pe jaañ dete haiñ
ik nagar dil meñ basā.ūñ bhī to kyā
kaun ḳhatre ko karegā mahsūs
maiñ agar shor machā.ūñ bhī to kyā
kaun sochegā ki ronā kyā hai
maiñ agar ro.uuñ rulā.ūñ bhī to kyā
pahlī baar aaj luTā huuñ koī
be-sadā hashr uThā.ūñ bhī to kyā
maiñ ne jo dekhā hai jo sochā hai
hū-ba-hū sāmne lā.ūñ bhī to kyā
log baune haiñ yahāñ pahle bhī
aur qad apnā baḌhā.ūñ bhī to kyā
ek shā'ir hī rahūñgā 'rūhī'
bahr qatre meñ dikhā.ūñ bhī to kyā
mo'jiza koi dikhaun bhi to kya
chand mein shahr basaun bhi to kya
yaad aata hai barabar koi
main use yaad na aaun bhi to kya
rabt pahle hi nahin kam us se
rabta aur baDhaun bhi to kya
wo na badlega rawayya apna
main agar baat nibhaun bhi to kya
jaane majbur hai kitna wo bhi
kuchh use yaad dilaun bhi to kya
mere aangan mein na utrega wo chand
lau sitaron se lagaun bhi to kya
log viranon pe jaan dete hain
ek nagar dil mein basaun bhi to kya
kaun KHatre ko karega mahsus
main agar shor machaun bhi to kya
kaun sochega ki rona kya hai
main agar roun rulaun bhi to kya
pahli bar aaj luTa hun koi
be-sada hashr uThaun bhi to kya
main ne jo dekha hai jo socha hai
hu-ba-hu samne laun bhi to kya
log baune hain yahan pahle bhi
aur qad apna baDhaun bhi to kya
ek sha'ir hi rahunga 'ruhi'
bahr qatre mein dikhaun bhi to kya
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 370)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.