moajiza kya koi ab dast-e-qalandar mein nahin
mo.ajiza kyā koī ab dast-e-qalandar meñ nahīñ
yā yahī hai ki shifā mere muqaddar meñ nahīñ
yā ki vāqif nahīñ maiñ lazzat-e-ātish se abhī
yā sharar hī koī shāyad kisī patthar meñ nahīñ
jis meñ rah jaa.eñ simaT kar tire dil ke aflāk
vahī parvāz abhī tak mire shahpar meñ nahīñ
jhuuT har raat dikhā.eñ vo to kyoñ sach mānūñ
raushnī mujh meñ nihāñ hai mah-o-aḳhtar meñ nahīñ
kisī kone meñ paḌā hogā vahīñ par 'āzād'
tum ne DhūñDā hai magar kūcha-e-dilbar meñ nahīñ
moajiza kya koi ab dast-e-qalandar mein nahin
ya yahi hai ki shifa mere muqaddar mein nahin
ya ki waqif nahin main lazzat-e-atish se abhi
ya sharar hi koi shayad kisi patthar mein nahin
jis mein rah jaen simaT kar tere dil ke aflak
wahi parwaz abhi tak mere shahpar mein nahin
jhuT har raat dikhaen wo to kyon sach manun
raushni mujh mein nihan hai mah-o-aKHtar mein nahin
kisi kone mein paDa hoga wahin par 'azad'
tum ne DhunDa hai magar kucha-e-dilbar mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.