moajiza ye bhi dikhaya maine
mo.ajiza ye bhī dikhāyā maiñ ne
apne qātil ko rulāyā maiñ ne
ḳhud hī zaḳhmoñ se sajāyā dil ko
aur phir jashn manāyā maiñ ne
ziist be-nūr huī jaatī thī
phir lahū dil kā jalāyā maiñ ne
chāñd aur phuul hī kyā har shai meñ
bas tirā aks hī paayā maiñ ne
terī yādoñ ko sajā kar dil meñ
ik sanam-ḳhāna banāyā maiñ ne
shahr-e-ehsās thā vo ḳhud bhī 'nigār'
but-kada dil kā jo Dhāyā maiñ ne
moajiza ye bhi dikhaya main ne
apne qatil ko rulaya main ne
KHud hi zaKHmon se sajaya dil ko
aur phir jashn manaya main ne
zist be-nur hui jati thi
phir lahu dil ka jalaya main ne
chand aur phul hi kya har shai mein
bas tera aks hi paya main ne
teri yaadon ko saja kar dil mein
ek sanam-KHana banaya main ne
shahr-e-ehsas tha wo KHud bhi 'nigar'
but-kada dil ka jo Dhaya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.