Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

moajiza yun machine se nikla

Aun Abbas Aun

moajiza yun machine se nikla

Aun Abbas Aun

MORE BYAun Abbas Aun

    mo.ajiza yuuñ machine se niklā

    tuur ik dūrbīn se niklā

    us kabūtar ne uḌnā siikh liyā

    vo parinda bhī diin se niklā

    us ke pairoñ farsh banñe ko

    ziina apnī zamīn se niklā

    maiñ ne jis par ġhurūr-o-nāz kiyā

    sho.ala us āstīn se niklā

    haa.e ham ro diye sar-e-mahfil

    apnā dushman kamīn se niklā

    raat phailā chukī thī andhere

    roz-e-raushan jabīn se niklā

    ġhaur se dekhiye to har chehra

    ek lafz-e-hasīn se niklā

    kuchh masāla lagā kahānī ko

    asl kirdār scene se niklā

    anjuman se makān se dil se

    ek bechāra tiin se niklā

    moajiza yun machine se nikla

    tur ek durbin se nikla

    us kabutar ne uDna sikh liya

    wo parinda bhi din se nikla

    us ke pairon ka farsh banne ko

    zina apni zamin se nikla

    main ne jis par ghurur-o-naz kiya

    shoala us aastin se nikla

    hae hum ro diye sar-e-mahfil

    apna dushman kamin se nikla

    raat phaila chuki thi andhere

    roz-e-raushan jabin se nikla

    ghaur se dekhiye to har chehra

    ek lafz-e-hasin se nikla

    kuchh masala laga kahani ko

    asl kirdar scene se nikla

    anjuman se makan se dil se

    ek bechaara tin se nikla

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now