moD aae hain mohabbat mein ajab ke ab ke
moḌ aa.e haiñ mohabbat meñ 'ajab ke ab ke
ranj ke haiñ na haiñ āsār tarab ke ab ke
ashk āñkhoñ se gurezāñ hue hoñToñ se hañsī
kaisī hairānī hai chehroñ pe ye sab ke ab ke
kyā pata phir se gale milnā mayassar ho na ho
TuuT jaane de mujhe bāhoñ meñ ab ke ab ke
thāmte chhuTte haath āñkhoñ meñ Thahrī huī sharm
jaane kyā ḳhvāb meñ hai vasl kī shab ke ab ke
kal talak un meñ thī bas pyaas kī sūkhī parteñ
gul khile haiñ mire lab par tire lab ke ab ke
moD aae hain mohabbat mein 'ajab ke ab ke
ranj ke hain na hain aasar tarab ke ab ke
ashk aankhon se gurezan hue honTon se hansi
kaisi hairani hai chehron pe ye sab ke ab ke
kya pata phir se gale milna mayassar ho na ho
TuT jaane de mujhe bahon mein ab ke ab ke
thamte chhuTte hath aankhon mein Thahri hui sharm
jaane kya KHwab mein hai wasl ki shab ke ab ke
kal talak un mein thi bas pyas ki sukhi parten
gul khile hain mere lab par tere lab ke ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.