mohabbat ab adawat lag rahi hai
mohabbat ab adāvat lag rahī hai
baḌī mushkil meñ qudrat lag rahī hai
faqīh-e-shahr to ḳhud pur-sukūñ hai
magar suulī pe ummat lag rahī hai
tumhāre qatl se lagtā hai aise
mire sar kī bhī qīmat lag rahī hai
fazāoñ meñ lahū kī bū basī hai
bahut bechain fitrat lag rahī hai
maiñ apne ahd-e-nau kī karbalā huuñ
mire ḳhuuñ meñ shahādat lag rahī hai
muqaddar so rahā hai ḳhaak oḌhe
zamīn-e-saḳht rāhat lag rahī hai
fasīl-e-shahr par to raushnī hai
magar daao pe izzat lag rahī hai
maiñ apne mulk meñ aaya huuñ jab se
ajab bechain sūrat lag rahī hai
muñDeroñ par kahīñ chiḌiyāñ nahīñ haiñ
ajab is ghar kī hālat lag rahī hai
zamīñ meñ nafrateñ boī ga.ī haiñ
harī shāḳhoñ pe tohmat lag rahī hai
sukūñ meñ haiñ munāfiq shahr bhar ke
hameñ ye saañs zillat lag rahī hai
vahāñ masrūfiyat thī chaar jānib
yahāñ fursat hī fursat lag rahī hai
ruke ye qāfila-e-jāñ kahīñ pe
be-ma.anī ab masāfat lag rahī hai
maiñ apne aap ko ġharqāb kar duuñ
bachāv kī ye sūrat lag rahī hai
ḳhudāyā mushkileñ āsān kar de
mujhe ghar meñ bhī vahshat lag rahī hai
vahāñ bechain hai vo kal se 'safdar'
use merī zarūrat lag rahī hai
mohabbat ab adawat lag rahi hai
baDi mushkil mein qudrat lag rahi hai
faqih-e-shahr to KHud pur-sukun hai
magar suli pe ummat lag rahi hai
tumhaare qatl se lagta hai aise
mere sar ki bhi qimat lag rahi hai
fazaon mein lahu ki bu basi hai
bahut bechain fitrat lag rahi hai
main apne ahd-e-nau ki karbala hun
mere KHun mein shahadat lag rahi hai
muqaddar so raha hai KHak oDhe
zamin-e-saKHt rahat lag rahi hai
fasil-e-shahr par to raushni hai
magar dao pe izzat lag rahi hai
main apne mulk mein aaya hun jab se
ajab bechain surat lag rahi hai
munDeron par kahin chiDiyan nahin hain
ajab is ghar ki haalat lag rahi hai
zamin mein nafraten boi gai hain
hari shaKHon pe tohmat lag rahi hai
sukun mein hain munafiq shahr bhar ke
hamein ye sans zillat lag rahi hai
wahan masrufiyat thi chaar jaanib
yahan fursat hi fursat lag rahi hai
ruke ye qafila-e-jaan kahin pe
be-mani ab masafat lag rahi hai
main apne aap ko gharqab kar dun
bachaw ki ye surat lag rahi hai
KHudaya mushkilen aasan kar de
mujhe ghar mein bhi wahshat lag rahi hai
wahan bechain hai wo kal se 'safdar'
use meri zarurat lag rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.