mohabbat aur kisi anjaan se uf
mohabbat aur kisī anjān se uf
ulajhnā aur dil-e-nādān se uf
achānak phone kyā aaya kisī kā
lagī haiñ dhaḌkaneñ sab kaan se uf
vo jis shiddat se mujh ko chāhtā hai
chalī jā.ūñ na apnī jaan se uf
maiñ us kī ḳhvāhishoñ ko kaise Tālūñ
vo dekhe hai baḌe armān se uf
maiñ us kī jaan huuñ jā.ūñ to kaise
vo jiitā hai mujhe jī jaan se uf
mohabbat jab se hai rūhoñ meñ utrī
mahakte haiñ badan lobān se uf
'kiran' is ishq meñ insāñ to insāñ
farishte bhī ga.e īmān se uf
mohabbat aur kisi anjaan se uf
ulajhna aur dil-e-nadan se uf
achanak phone kya aaya kisi ka
lagi hain dhaDkanen sab kan se uf
wo jis shiddat se mujh ko chahta hai
chali jaun na apni jaan se uf
main us ki KHwahishon ko kaise Talun
wo dekhe hai baDe arman se uf
main us ki jaan hun jaun to kaise
wo jita hai mujhe ji jaan se uf
mohabbat jab se hai ruhon mein utri
mahakte hain badan loban se uf
'kiran' is ishq mein insan to insan
farishte bhi gae iman se uf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.