mohabbat aur mohabbat ka shajar baqi rahega
mohabbat aur mohabbat kā shajar baaqī rahegā
chale jā.eñge ham lekin safar baaqī rahegā
kisī dastak kī kānoñ meñ sadā aatī rahegī
koī naqsh-e-qadam dahlīz par baaqī rahegā
abhī se kyoñ bujhā deñ apne dil kī saarī sham.eñ
sahar hone tak imkān-e-sahar baaqī rahegā
baḌhā aatā hai sail-e-be-yaqīnī har taraf se
to is sailāb meñ kyā merā ghar baaqī rahegā
giregā ek din sar par ye niilā āsmāñ bhī
duāoñ meñ bhalā kab tak asar baaqī rahegā
jo tum chāho to is bartan ko chaknā-chūr kar do
magar phir bhī nishān-e-kūza-gar baaqī rahegā
abhī ye faisla mahfūz hai lauh-e-ufuq par
kaTegī kis kī gardan kis kā sar baaqī rahegā
jise be-maslahat be-ḳhauf ho kar maiñ ne likkhā
vahī bas ek harf-e-mo'tabar baaqī rahegā
milā hai TuuT kar jo muddatoñ ke baad 'ashfāq'
usī se phir bichhaḌ jaane kā Dar baaqī rahegā
mohabbat aur mohabbat ka shajar baqi rahega
chale jaenge hum lekin safar baqi rahega
kisi dastak ki kanon mein sada aati rahegi
koi naqsh-e-qadam dahliz par baqi rahega
abhi se kyon bujha den apne dil ki sari shamen
sahar hone tak imkan-e-sahar baqi rahega
baDha aata hai sail-e-be-yaqini har taraf se
to is sailab mein kya mera ghar baqi rahega
girega ek din sar par ye nila aasman bhi
duaon mein bhala kab tak asar baqi rahega
jo tum chaho to is bartan ko chakna-chur kar do
magar phir bhi nishan-e-kuza-gar baqi rahega
abhi ye faisla mahfuz hai lauh-e-ufuq par
kaTegi kis ki gardan kis ka sar baqi rahega
jise be-maslahat be-KHauf ho kar main ne likkha
wahi bas ek harf-e-mo'tabar baqi rahega
mila hai TuT kar jo muddaton ke baad 'ashfaq'
usi se phir bichhaD jaane ka Dar baqi rahega
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 498)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.