mohabbat bhi musibat ho gai kya
mohabbat bhī musībat ho ga.ī kyā
vafādārī ġhanīmat ho ga.ī kyā
'adālat farsh-e-maqtal dho rahī hai
usūloñ kī shahādat ho ga.ī kyā
tumhārā tajraba kyā hai batā do
hameñ tum se mohabbat ho ga.ī kyā
kitābat rokne kā kyā sabab hai
kahānī meñ baġhāvat ho ga.ī kyā
mazār-e-pīr se āvāz aa.ī
faqīrī bādshāhat ho ga.ī kyā
ghaTā.eñ dekhne ko aa rahī haiñ
hamārī chhat kī hālat ho ga.ī kyā
ye kaisā jashn hai us kī galī meñ
koī bandish ijāzat ho ga.ī kyā
nazar aatī thī jo āñkhoñ meñ terī
vo bechainī qanā'at ho ga.ī kyā
mohabbat bhi musibat ho gai kya
wafadari ghanimat ho gai kya
'adalat farsh-e-maqtal dho rahi hai
usulon ki shahadat ho gai kya
tumhaara tajraba kya hai bata do
hamein tum se mohabbat ho gai kya
kitabat rokne ka kya sabab hai
kahani mein baghawat ho gai kya
mazar-e-pir se aawaz aai
faqiri baadshahat ho gai kya
ghaTaen dekhne ko aa rahi hain
hamari chhat ki haalat ho gai kya
ye kaisa jashn hai us ki gali mein
koi bandish ijazat ho gai kya
nazar aati thi jo aankhon mein teri
wo bechaini qana'at ho gai kya
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 41)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.