mohabbat chaara-saz-e-dard-e-furqat hoti jati hai
mohabbat chāra-sāz-e-dard-e-furqat hotī jaatī hai
mirī vahshat mujhe sāmān-e-rāhat hotī jaatī hai
udhar vo munfa.il nazreñ idhar ye muztarib naale
nadāmat hotī jaatī hai shikāyat hotī jaatī hai
nazar aate haiñ vo āmāda-e-lutf-o-karam ḳhud hī
mujhe bhī aaj arz-e-ġham kī himmat hotī jaatī hai
jabīñ ḳhud āstān-e-bandagī ko DhūñDh letī hai
mohabbat ḳhud nahīñ hotī mohabbat hotī jaatī hai
nahīñ khultā ye uqda josh-e-vahshat meñ nahīñ khultā
ki kyoñ bezār manzil se tabī.at hotī jaatī hai
kisī ne yaad farmāyā hai kyā phir apnī mahfil meñ
ki az-ḳhud baiThe baiThe ġhair hālat hotī jaatī hai
chalī aatī haiñ paiham hichkiyāñ bīmār-e-ulfat ko
murattab ḳhud-baḳhud ġham kī hikāyat hotī jaatī hai
shikāyat ishq ko hai husn ke paiham taġhāful kī
qayāmat meñ ye ik taaza qayāmat hotī jaatī hai
murattab ho ga.ī fard-e-amal yuuñ ḳhud-baḳhud 'kaukab'
mire dīvān-e-she.rī kī kitābat hotī jaatī he
mohabbat chaara-saz-e-dard-e-furqat hoti jati hai
meri wahshat mujhe saman-e-rahat hoti jati hai
udhar wo munfail nazren idhar ye muztarib nale
nadamat hoti jati hai shikayat hoti jati hai
nazar aate hain wo aamada-e-lutf-o-karam KHud hi
mujhe bhi aaj arz-e-gham ki himmat hoti jati hai
jabin KHud aastan-e-bandagi ko DhunDh leti hai
mohabbat KHud nahin hoti mohabbat hoti jati hai
nahin khulta ye uqda josh-e-wahshat mein nahin khulta
ki kyon bezar manzil se tabiat hoti jati hai
kisi ne yaad farmaya hai kya phir apni mahfil mein
ki az-KHud baiThe baiThe ghair haalat hoti jati hai
chali aati hain paiham hichkiyan bimar-e-ulfat ko
murattab KHud-baKHud gham ki hikayat hoti jati hai
shikayat ishq ko hai husn ke paiham taghaful ki
qayamat mein ye ek taza qayamat hoti jati hai
murattab ho gai fard-e-amal yun KHud-baKHud 'kaukab'
mere diwan-e-sheri ki kitabat hoti jati he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.