mohabbat doston shabnam bhi chingari bhi hoti hai
mohabbat dostoñ shabnam bhī chingārī bhī hotī hai
tumheñ mā'lūm hai talvār do-dhārī bhī hotī hai
har ik āvāz par ruknā samajhdārī nahīñ hotī
koī āvāz āvāzoñ meñ bāzārī bhī hotī hai
parakhnā chāhte haiñ vo har ik rishte kī sachchā.ī
bahut se log haiñ jin ko ye bīmārī bhī hotī hai
adākārī har ik insān ke bas kī nahīñ hotī
ziyāda der tak hañsne meñ dushvārī bhī hotī hai
mohabbat phuul degī aap ko tab hogā andāza
ki duniyā meñ koī shai is qadar bhārī bhī hotī hai
mohabbat doston shabnam bhi chingari bhi hoti hai
tumhein ma'lum hai talwar do-dhaari bhi hoti hai
har ek aawaz par rukna samajhdari nahin hoti
koi aawaz aawazon mein bazari bhi hoti hai
parakhna chahte hain wo har ek rishte ki sachchai
bahut se log hain jin ko ye bimari bhi hoti hai
adakari har ek insan ke bas ki nahin hoti
ziyaada der tak hansne mein dushwari bhi hoti hai
mohabbat phul degi aap ko tab hoga andaza
ki duniya mein koi shai is qadar bhaari bhi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.