mohabbat gham hai to aaram kya hai
mohabbat ġham hai to ārām kyā hai
hameñ ārām se phir kaam kyā hai
samajh meñ dil kī bāteñ kuchh na aa.eñ
na jaane 'ishq kā paiġhām kyā hai
mohabbat hī mohabbat hai zamāna
mohabbat ḳhaas hai to 'aam kyā hai
nigāhoñ meñ hai mastī kī haqīqat
tirī āñkhoñ ke aage jaam kyā hai
safar meñ zindagī kī manzileñ haiñ
nahīñ to sub.h kyā hai shaam kyā hai
har achchhe naam se un ko pukārā
ḳhudā mā'lūm un kā naam kyā hai
'zahīn' un ke chale jaane se pahle
na jaane 'ishq kā anjām kyā hai
mohabbat gham hai to aaram kya hai
hamein aaram se phir kaam kya hai
samajh mein dil ki baaten kuchh na aaen
na jaane 'ishq ka paigham kya hai
mohabbat hi mohabbat hai zamana
mohabbat KHas hai to 'am kya hai
nigahon mein hai masti ki haqiqat
teri aankhon ke aage jam kya hai
safar mein zindagi ki manzilen hain
nahin to subh kya hai sham kya hai
har achchhe nam se un ko pukara
KHuda ma'lum un ka nam kya hai
'zahin' un ke chale jaane se pahle
na jaane 'ishq ka anjam kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.