mohabbat humne ki hai hum tumhein dil se dua denge
mohabbat humne ki hai hum tumhein dil se dua denge
Anjana Singh Sengar
MORE BYAnjana Singh Sengar
mohabbat ham ne kī hai ham tumheñ dil se duā deñge
magar in chāhatoñ kī aap jaane kyā sazā deñge
gile-shikve hamāre darmiyāñ jo haiñ miTā deñge
mileñge jab bhī ham ik-dūsre se muskurā deñge
hamāre chehre kī māyūsiyoñ ko ham se mat pūchho
kisī din aap ke hāthoñ meñ ham bhī aa.ina deñge
koī āvāz ūñchī kar ke bole kab gavāra hai
agarche narm lahja ho to ham bhī dil bichhā deñge
hamāre sabr kā tum imtihāñ mat lo to behtar hai
zabāñ kholī agar ham ne to hangāma uThā deñge
marīz-e-ishq huuñ maiñ thoḌā mushkil hai maraz merā
agar denā paḌegī aap mujh ko kyā davā deñge
diloñ kī baat ko dil meñ rakhoge to hī behtar hai
zabāñ par aa ga.ī to log nāhaq hī havā deñge
mohabbat ke hare paude lagāo 'anjanā' ab tum
jo un kī chhāñv meñ baiTheñge vo saare duā deñge
mohabbat hum ne ki hai hum tumhein dil se dua denge
magar in chahaton ki aap jaane kya saza denge
gile-shikwe hamare darmiyan jo hain miTa denge
milenge jab bhi hum ik-dusre se muskura denge
hamare chehre ki mayusiyon ko hum se mat puchho
kisi din aap ke hathon mein hum bhi aaina denge
koi aawaz unchi kar ke bole kab gawara hai
agarche narm lahja ho to hum bhi dil bichha denge
hamare sabr ka tum imtihan mat lo to behtar hai
zaban kholi agar hum ne to hangama uTha denge
mariz-e-ishq hun main thoDa mushkil hai maraz mera
agar dena paDegi aap mujh ko kya dawa denge
dilon ki baat ko dil mein rakhoge to hi behtar hai
zaban par aa gai to log nahaq hi hawa denge
mohabbat ke hare paude lagao 'anjana' ab tum
jo un ki chhanw mein baiThenge wo sare dua denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.