Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat hi agar tujhko na ras aai to kya hoga

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

mohabbat hi agar tujhko na ras aai to kya hoga

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    mohabbat agar tujh ko na raas aa.ī to kyā hogā

    tire ġham meñ tabī.at merī ghabrā.ī to kyā hogā

    tujhe paane ḳhātir kis qadar bechain rahtā huuñ

    tujhe kar bhī gar taskīñ nahīñ paa.ī to kyā hogā

    nahīñ piitā na zāhid magar ye to samajh letā

    agar saaqī ne mai āñkhoñ se barsā.ī to kyā hogā

    ham us ke dar pe jaane jo rusvā.ī hai sah leñge

    talāsh us jo dar pe ġhair ke laa.ī to kyā hogā

    kiye va.ade bhī tum ne aur mujh ko tasallī bhī

    na tum aa.e shab-e-furqat na niiñd aa.ī to kyā hogā

    ḳhizāñ ke daur meñ dekhī bahut gulshan barbādī

    magar ab mausam-e-gul meñ ḳhizāñ aa.ī to kyā hogā

    'habīb' is ghar ko ġhair aa.e jalāne ko to kyā ġham hai

    sulagtī aag yāroñ ne jo bhaḌkā.ī to kyā hogā

    mohabbat hi agar tujh ko na ras aai to kya hoga

    tere gham mein tabiat meri ghabrai to kya hoga

    tujhe pane ki KHatir kis qadar bechain rahta hun

    tujhe pa kar bhi gar taskin nahin pai to kya hoga

    nahin pita na pi zahid magar ye to samajh leta

    agar saqi ne mai aankhon se barsai to kya hoga

    hum us ke dar pe jaane ki jo ruswai hai sah lenge

    talash us ki jo dar pe ghair ke lai to kya hoga

    kiye wade bhi tum ne aur di mujh ko tasalli bhi

    na tum aae shab-e-furqat na nind aai to kya hoga

    KHizan ke daur mein dekhi bahut gulshan ki barbaadi

    magar ab mausam-e-gul mein KHizan aai to kya hoga

    'habib' is ghar ko ghair aae jalane ko to kya gham hai

    sulagti aag yaron ne jo bhaDkai to kya hoga

    Source :
    • Book : نغمۂ زندگی (Pg. 46)
    • Author : جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now