mohabbat ho gai pahli nazar mein
mohabbat ho ga.ī pahlī nazar meñ
qayāmat ho ga.ī pahlī nazar meñ
nazar haTtī nahīñ sūrat se un kī
ye hālat ho ga.ī pahlī nazar meñ
hamārī zindagī ik ajnabī kī
amānat ho ga.ī pahlī nazar meñ
sahārā ban ga.ī vo umr bhar kā
jo ulfat ho ga.ī pahlī nazar meñ
dhaḌaktā hai usī ke naam se dil
ye sūrat ho ga.ī pahlī nazar meñ
na paa.ī umr bhar jo ham ko hāsil
vo daulat ho ga.ī pahlī nazar meñ
jo thī vīrān ab tak dil kī duniyā
vo jannat ho ga.ī pahlī nazar meñ
vo anjāne the lekin un pe maa.il
tabī.at ho ga.ī pahlī nazar meñ
'payām' un ke hue ham yuuñ kisī kī
ināyat ho ga.ī pahlī nazar meñ
mohabbat ho gai pahli nazar mein
qayamat ho gai pahli nazar mein
nazar haTti nahin surat se un ki
ye haalat ho gai pahli nazar mein
hamari zindagi ek ajnabi ki
amanat ho gai pahli nazar mein
sahaara ban gai wo umr bhar ka
jo ulfat ho gai pahli nazar mein
dhaDakta hai usi ke nam se dil
ye surat ho gai pahli nazar mein
na pai umr bhar jo hum ko hasil
wo daulat ho gai pahli nazar mein
jo thi viran ab tak dil ki duniya
wo jannat ho gai pahli nazar mein
wo anjaane the lekin un pe mail
tabiat ho gai pahli nazar mein
'payam' un ke hue hum yun kisi ki
inayat ho gai pahli nazar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.