mohabbat jis ko kahte hain kabhi baatil nahin hoti
mohabbat jis ko kahte hain kabhi baatil nahin hoti
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
mohabbat jis ko kahte haiñ kabhī bātil nahīñ hotī
fareb-e-‘aql ho jaa.e fareb-e-dil nahīñ hotī
vo raahī huuñ ki jis ke sāmne manzil nahīñ hotī
yahī āvārgī shāyad kisī qābil nahīñ hotī
ta'ajjub hai kisī sūrat nazar qaa.il nahīñ hotī
tabī'at to tumhārī yaad se ġhāfil nahīñ hotī
ḳhamoshī ho yā goyā.ī bahar-hālat zabāñ apnī
nahīñ hotī tumhāre naam se ġhāfil nahīñ hotī
tamanna Dūbnā hī jāntī hai bahr-e-ulfat meñ
ye vo kashtī hai jo sharminda-e-sāhil nahīñ hotī
bahar-sūrat mayassar hai tirī qurbat bhī ḳhalvat bhī
magar dīdār kī daulat kabhī hāsil nahīñ hotī
nahīñ jhuktā kabhī sajde meñ sar ahl-e-tarīqat kā
gunāhoñ kī fazā meñ be-ḳhudī shāmil nahīñ hotī
dam-e-tūfāñ hilā detī hai dil maġhrūr maujoñ ke
du'ā meñ itnī gahrā.ī lab-e-sāhil nahīñ hotī
hamesha 'shād' rakhtī hai mohabbat ham-ḳhayāloñ kī
magar ye pārsāoñ meñ kabhī hāsil nahīñ hotī
mohabbat jis ko kahte hain kabhi baatil nahin hoti
fareb-e-‘aql ho jae fareb-e-dil nahin hoti
wo rahi hun ki jis ke samne manzil nahin hoti
yahi aawargi shayad kisi qabil nahin hoti
ta'ajjub hai kisi surat nazar qail nahin hoti
tabi'at to tumhaari yaad se ghafil nahin hoti
KHamoshi ho ya goyai bahar-haalat zaban apni
nahin hoti tumhaare nam se ghafil nahin hoti
tamanna Dubna hi jaanti hai bahr-e-ulfat mein
ye wo kashti hai jo sharminda-e-sahil nahin hoti
bahar-surat mayassar hai teri qurbat bhi KHalwat bhi
magar didar ki daulat kabhi hasil nahin hoti
nahin jhukta kabhi sajde mein sar ahl-e-tariqat ka
gunahon ki faza mein be-KHudi shamil nahin hoti
dam-e-tufan hila deti hai dil maghrur maujon ke
du'a mein itni gahrai lab-e-sahil nahin hoti
hamesha 'shad' rakhti hai mohabbat ham-KHayalon ki
magar ye parsaon mein kabhi hasil nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.