mohabbat ka ajab zawiya hai
mohabbat kā ajab zāviya hai
havā.eñ chār-sū aur ik diyā hai
ham ahl-e-dard ḳhud se pūchhte haiñ
vatan ko ham ne ab tak kyā diyā hai
sitamgar ke sitam itne baḌhe haiñ
laboñ ko aaj ham ne sī liyā hai
achānak bol uThe dīvār-o-dar bhī
ye kis kā naam maiñ ne le liyā hai
tumhāre ḳhvāb āḳhir kyā hue haiñ
haqīqat-āshnā kis ne kiyā hai
tumhārī pyaas kyuuñ bujhtī nahīñ hai
ye kis kī ok se paanī piyā hai
mirī āñkhoñ se aañsū kis ne poñchhe
garebāñ chaak ye kis ne siyā hai
sabhī ko lauTnā hai ik na ik din
'hasan' duniyā meñ kaun itnā jiyā hai
mohabbat ka ajab zawiya hai
hawaen chaar-su aur ek diya hai
hum ahl-e-dard KHud se puchhte hain
watan ko hum ne ab tak kya diya hai
sitamgar ke sitam itne baDhe hain
labon ko aaj hum ne si liya hai
achanak bol uThe diwar-o-dar bhi
ye kis ka nam main ne le liya hai
tumhaare KHwab aaKHir kya hue hain
haqiqat-ashna kis ne kiya hai
tumhaari pyas kyun bujhti nahin hai
ye kis ki ok se pani piya hai
meri aankhon se aansu kis ne ponchhe
gareban chaak ye kis ne siya hai
sabhi ko lauTna hai ek na ek din
'hasan' duniya mein kaun itna jiya hai
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 155)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.