Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ka apni asar dekh lete

Maqsood Alam Khan Alam Barelvi

mohabbat ka apni asar dekh lete

Maqsood Alam Khan Alam Barelvi

MORE BYMaqsood Alam Khan Alam Barelvi

    mohabbat apnī asar dekh lete

    hameñ kaash vo ik nazar dekh lete

    ye mujh par tanhā sitam kis liye hai

    koī aur bhī chārāgar dekh lete

    tujhe jaan de kar bhī ham uf na karte

    tirā ruḳh zarā bhī agar dekh lete

    na.ī siikh lete adā tujh se ġhunche

    tujhe muskurātā agar dekh lete

    ulaTte vo apnī naqāb aur idhar ham

    shab-e-ġham hote sahar dekh lete

    rahī vaqt-e-ruḳhsat yahī dil meñ hasrat

    unheñ aur ham ik nazar dekh lete

    ġham-e-zindagī ko bhulā dete 'ālam'

    unheñ do ghaḌī jo agar dekh lete

    mohabbat ka apni asar dekh lete

    hamein kash wo ek nazar dekh lete

    ye mujh par hi tanha sitam kis liye hai

    koi aur bhi chaaragar dekh lete

    tujhe jaan de kar bhi hum uf na karte

    tera ruKH zara bhi agar dekh lete

    nai sikh lete ada tujh se ghunche

    tujhe muskuraata agar dekh lete

    ulaTte wo apni naqab aur idhar hum

    shab-e-gham ki hote sahar dekh lete

    rahi waqt-e-ruKHsat yahi dil mein hasrat

    unhen aur hum ek nazar dekh lete

    gham-e-zindagi ko bhula dete 'alam'

    unhen do ghaDi jo agar dekh lete

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now