mohabbat ka fasana humse dohraya nahin jata
mohabbat kā fasāna ham se dohrāyā nahīñ jaatā
bas ab ham se fareb-e-ārzū khāyā nahīñ jaatā
yahāñ tak to mujhe dast-e-karam par naaz hai un ke
agar ab haath phailā.ūñ to phailāyā nahīñ jaatā
tamāsha dekhne vaale tamāsha ban ke rah jaa.eñ
ba-qadr-e-dard tum se dil ko taḌpāyā nahīñ jaatā
ye aalam hai qafas kā dar khulā hai sehn-e-gulshan meñ
magar sayyād ko ab chhoḌ kar jaayā nahīñ jaatā
mujhe dekho ki ġhairoñ ko bhī siine se lagātā huuñ
magar tum se to apnoñ ko bhī apnāyā nahīñ jaatā
jo āñkheñ dekh letī haiñ ḳhizāñ kā daur phir un se
bahāroñ kā fareb-e-rañg-o-bū khāyā nahīñ jaatā
maiñ un ko be-ruḳhī kā kis liye ilzām duuñ 'ja.afar'
añdhere meñ to apnā do-qadam saayā nahīñ jaatā
mohabbat ka fasana hum se dohraya nahin jata
bas ab hum se fareb-e-arzu khaya nahin jata
yahan tak to mujhe dast-e-karam par naz hai un ke
agar ab hath phailaun to phailaya nahin jata
tamasha dekhne wale tamasha ban ke rah jaen
ba-qadr-e-dard tum se dil ko taDpaya nahin jata
ye aalam hai qafas ka dar khula hai sehn-e-gulshan mein
magar sayyaad ko ab chhoD kar jaya nahin jata
mujhe dekho ki ghairon ko bhi sine se lagata hun
magar tum se to apnon ko bhi apnaya nahin jata
jo aankhen dekh leti hain KHizan ka daur phir un se
bahaaron ka fareb-e-rang-o-bu khaya nahin jata
main un ko be-ruKHi ka kis liye ilzam dun 'jafar'
andhere mein to apna do-qadam saya nahin jata
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 130)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.