mohabbat ka ise aazar bhi hai
mohabbat kā ise āzār bhī hai
mohabbat se ye dil bezār bhī hai
khaTaktī hai zamāne kī nazar meñ
mohabbat phuul to hai ḳhaar bhī hai
barahman se na kar ai shaiḳh nafrat
tirī tasbīh meñ zunnār bhī hai
murakkab hai ye insāñ ḳhair-o-shar se
bashar meñ nuur bhī hai naar bhī hai
vo dīvāne ko dīvāna na samjheñ
jo dīvāna hai vo hushiyār bhī hai
dil-e-insāñ meñ zulmat bhī hai maanā
magar ye markaz-e-anvār bhī hai
sune haiñ ham ne bhī ash.ār-e-'zākir'
fasāhat bhī hai aur me.aar bhī hai
mohabbat ka ise aazar bhi hai
mohabbat se ye dil bezar bhi hai
khaTakti hai zamane ki nazar mein
mohabbat phul to hai KHar bhi hai
barahman se na kar ai shaiKH nafrat
teri tasbih mein zunnar bhi hai
murakkab hai ye insan KHair-o-shar se
bashar mein nur bhi hai nar bhi hai
wo diwane ko diwana na samjhen
jo diwana hai wo hushiyar bhi hai
dil-e-insan mein zulmat bhi hai mana
magar ye markaz-e-anwar bhi hai
sune hain hum ne bhi ashaar-e-'zakir'
fasahat bhi hai aur mear bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.