mohabbat ka kisi surat koi pahlu nahin nikle
mohabbat kā kisī sūrat koī pahlū nahīñ nikle
siyāsat chāhtī hai phuul se ḳhushbū nahīñ nikle
sunā hai dard ghaT jaatā hai jab insān rotā hai
magar vo kyā kareñ jis ke kabhī aañsū nahīñ nikle
na jaane maslahat kī kaun sī chādar meñ lipTe haiñ
añdherā baḌh gayā lekin abhī jugnū nahīñ nikle
mohabbat ke musāfir ko tarastī hī rahī bastī
kabhī suufī nahīñ nikle kabhī sādhū nahīñ nikle
thakan se chuur ho kar gir gayā bistar pe maiñ apne
magar ab tak tirī tasvīr se baazū nahīñ nikle
mohabbat ka kisi surat koi pahlu nahin nikle
siyasat chahti hai phul se KHushbu nahin nikle
suna hai dard ghaT jata hai jab insan rota hai
magar wo kya karen jis ke kabhi aansu nahin nikle
na jaane maslahat ki kaun si chadar mein lipTe hain
andhera baDh gaya lekin abhi jugnu nahin nikle
mohabbat ke musafir ko tarasti hi rahi basti
kabhi sufi nahin nikle kabhi sadhu nahin nikle
thakan se chur ho kar gir gaya bistar pe main apne
magar ab tak teri taswir se bazu nahin nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.