mohabbat ka koi pauda lagana bhi zaruri hai
mohabbat kā koī paudā lagānā bhī zarūrī hai
use phir shak kī āñdhī se bachānā bhī zarūrī hai
chalo aapas meñ talḳhī aur ranjish ho hī jaatī hai
tamāshā kyā zamāne ko dikhānā bhī zarūrī hai
kisī ke naam ko kāġhaz pe likhnā aur miTā denā
ik aise kaam par ḳhud ko lagānā bhī zarūrī hai
fasāne chāhatoñ ke lutf dete haiñ magar tum ko
judā.ī kā koī qissa sunānā bhī zarūrī hai
yūñhī uḌte hue panchhī muñDeroñ tak nahīñ aate
mohabbat ke liye kuchh dām-o-dāna bhī zarūrī hai
qadam to mil ga.e 'arshad' magar ye zehn meñ rakhnā
mohabbat ko mohabbat se nibhānā bhī zarūrī hai
mohabbat ka koi pauda lagana bhi zaruri hai
use phir shak ki aandhi se bachana bhi zaruri hai
chalo aapas mein talKHi aur ranjish ho hi jati hai
tamasha kya zamane ko dikhana bhi zaruri hai
kisi ke nam ko kaghaz pe likhna aur miTa dena
ek aise kaam par KHud ko lagana bhi zaruri hai
fasane chahaton ke lutf dete hain magar tum ko
judai ka koi qissa sunana bhi zaruri hai
yunhi uDte hue panchhi munDeron tak nahin aate
mohabbat ke liye kuchh dam-o-dana bhi zaruri hai
qadam to mil gae 'arshad' magar ye zehn mein rakhna
mohabbat ko mohabbat se nibhana bhi zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.